Wednesday, November 14, 2007

judai se pyaar kisko hai....Post by: Suzaan Shrestha.

judai se pyaar kisko hai


Kismat pur aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch mazboorian hain mere dost,
Warna judai se pyaar kisko hai.

post by Suzaan Shrestha

usi ka intezar kyon hai.


Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.
post by Suzaan Shrestha

lekin jee bhi to nahi pata tanhai me


Khuda kisi ko kisi pe fida na kare, Kare to qayamat tak juda na kare,
Yeh mana ki koi marta nahi judai mein, lekin jee bhi to nahi pata tanhai me
post by Suzaan Shrestha

aaru aap ki yek jatkene sab bikaradiye..(new).


bananese bagarna aasan hay,
aap kaml hay aapne hamai dekhadiya..
hamari gindagi sawari aapke khatir...
aaru aap ki yek jatkene sab bikaradiye...
Post by: Suzaan Shrestha.

dil ke tutne ki to awaaz


tez dhadkanoon ko sunkar bhi tumhe
pyar ki khabar nahi hoti....
kya mehsoos karoge tum dil ka dard,
dil ke tutne ki to awaaz bhi nahi hoti....

Aaj Phir Dil Hai Kuch


Aaj Phir Dil Hai Kuch Udaas Sa
Jaane Kyun Ek Mayusi Si Chahi Hai
Aaj Phir Palkon Pe Aansu Hai
Bheed Mein Hoon Phir Bhi Tanhai Hai.

Rooz Ji K Mare


Hum Se Panchi Bhuly
Dil Kia Udd Liay Thak Giay To Basera Kia
Rooz Mer K Jiye
Rooz Ji K Mare
Zaher Her Shaam Kis Ne Piya
Dil Tha Wo Bhi Toot Gaya
Ab Lutanye Ko Kuch Bhi Nahi.....

WO GUZRA HUA KAL


KITNI RAATEIN BEET GAYIN,
KITNE DIN BEET GAYE,
BUS BEETA NAHI TO YAADON KA WO PAL,
WO GUZRA HUA KAL,
BEETI NAHI TO AANKHON NAMI,
AUR AAP KI KAMI...

BANA KAR DIKHA DIYA...


POOCHA K ROOH NIKALTI HAI JISM SE KIS TARHA???
HAATH USNE HAATHON SE CHURA KAR DIKHA DIYA,
POOCHHA HAR TARAF YEH KHIZAAN SI KIYA LAGTI HAI???
MEHFIL SE USNE KHUD KO UTHA KAR DIKHA DIYA,
POOCHA K EK DIYA JO HAWA SE NA BUJH SAKA???
DIYA US NE WAFA KA BUJHA KAR DIKHA DIYA,
POOCHA K AAKHIR YEH HASAD HAI KIYA CHEEZ???
US NE KISI AUR KO APNA BANA KAR DIKHA DIYA...


WOH TERI YAAD KO SEENE SE


WOH TERI YAAD KO SEENE SE LAGA KAR ROYEA
APNE KHWABON ME TUJHE PAS BULA KAR ROYEA
HAZAARON BAAR PUKAARA TUJHE TANHAI ME
AUR HAR BAAR TUJHE PAAS NA PAKAR ROYEA...


Hasne nahi deta kabhi rone nahi deta
Ye dil to koi kaam bhi hone nahi deta

Tum maang rahe ho mere dil se meri khwaish
Bachcha to kabhi apne khilone nahi deta

Main aap uthata hun shab-o-roz ki zillat
Ye bojh mera dil kisi ko dhone nahi deta

Wo aajkaha hai isse to mai wakif bhi nahi hun
Jo mujhko kisi or ka hone nahi deta.... 

PathaR bana liya.***


Tanhaiyo k ShehaR me Ek GhaR bana liya,*
*Ruswaiyo ko Apna Mukadar bana liya.*
*Dekha hai Yaha PathaR ko Poojte hai Log,*
*Bas Isliye Apne Dil ko PathaR bana liya.*** 

Phir Bhi Khaamosh Ho Tum


Yeh Dil Ho Gaya Tumhara, Har Yaad Mein Ho Tum,
Pukarta Hai Tumhe, Kyun Nahi Laut Aate Ho Tum.
Saansein Hain Chalti, Har Saans Mein Ho Tum,
Meri Ye Tanhaai Hai Roti, Phir Bhi Khaamosh Ho Tum... 

pyar ki nishaani hai


Har phool ki azab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishaani hai.......
Kahin koi zakhm nahi fir bhi kyu ye dard ka ehsaas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi unke pass hai.....  

aaj bhi unke pass hai


Har phool ki azab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishaani hai.......
Kahin koi zakhm nahi fir bhi kyu ye dard ka ehsaas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi unke pass hai.....  

dard pai muskuraya bhut,,,


Aaj uski yaad nai hamain tarpaya bhut
Aaj na chahtay huay bhi wo yaad aaya bhut
Us ke baad to jaisay weshatoon sa doosti ho gaye
Phir kyun tanhayion nai aaj daraya bhut
Wo mare the Mere hai Mere rahayge
Yah sooch k dil ko behlaya bhut
Shama k jalnay pai afsoos karain kyun
Humnay bhi manand-e-shama khud ko jalaya bhut
Hum nai jis kisi ko bhi hamdard samjha
Wo na janay kyun hamary dard pai muskuraya bhut,,,  

yeh soch ke hum tumse


umse rishta tod bhi nahin sakte aur jod bhi nahin sakte
tu Bewafa hai ueh soch ke tumse muh mod bhi nahin sakte
beshaq tu kisi aur ke haathon ki lakeeron mein hi sahi
yeh soch ke hum tumse milne ki aas chod bhi nahin sakte... 

wo meharbaan nahi milta


Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta...  

lamba hamein intezaar mila


Khushnaseeb hai hum jisse aap jaisa yaar mila
pathron ke jahan mein sacha pyar mila
jeeye tumhe dekh dekh,marre teri baahon meinyeh aarzu hai meri
do pal ka tha sab ae dost....sadiyon se lamba hamein intezaar mila  

Uski mohabbat mere naseeb mein karde...


Ae Khuda meri mohabbat mere havaale karde
Tadap rahA hu uske bina yeh judaai kam karde
Reham kar iss chote se dil pe ya Khudaaya
Uski mohabbat mere naseeb mein karde...  

Nafratein bhi uss


Nafratein bhi uss se ,mohabbatein bhi uss se
Yeh dil ke maamle bhi hua karte hai ajeeb
Na toot kar jurre, na jud kar kabhi toote
Yeh qurbaton ke faasle bhi hua karte hai ajeeb... 

Teri har adaa


Teri har adaa mohabbat si lagti hai
Ek pal ki judaai muddat si lagti hai
Aisa pehle nahin tha jo ab lagta hai
Ke zindagi ke har lamhe mein teri zarurat si lagti hai...  

kasoor hai zandagi ka...


Milke bichadna dastoor hai zandagi ka,
Ek yahi kissa mashhoor hai zandagi ka,
Beete huye pal kabhi laut kar nahi aate,
Yahi sabse bada kasoor hai zandagi ka...  

per unhe kabhi sir jhukane na denge


Ilzaam unper koi aane na denge.....
Bewafa bankar unhe jaane na denge......
Khud hi seh lenge sare dard.....
per unhe kabhi sir jhukane na denge.....  

jo door se pehchaan lia karte thi...


kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehte the wo maan lia karte the
kal anjaan ban kar paas se guzar gai
jo door se pehchaan lia karte thi...  

tera andaaz yaad aaya hai,,,


yeh bhii khuch manzilon se kam to nahin
raasto mein jo khoya paaya hai

tum numaaish liye ho daagon kii
hamne zakhmon ko bhii chuppaayaa hai

koii marta nahin kisi ke liye
hamne duniya ko aazmaayaa hai

waqt-e-hizraan ya vasl ho "barham"
hamne dono mein tujhko paaya hai

dil ne jab bhii fareb khaaya hai
tera andaaz yaad aaya hai,,, 

tera nam isliye chup hun


zindagee hain nadaan isliye chup hun"
dard hi dard hai subha sham isliye chup hun"
kehdun zamaney say apni dastan par
uss main ayega tera nam isliye chup hun,,, 

ajeeb hotay hain


Dil k rishtay bhi kitnay ajeeb hotay hain,
Door reh ker bhi kitnay kareeb hotay hain,
Jin logon ko un k chahnay waalay mil jaatay hain,
Wo log kitnay khush naseeb hotay hain.  

Waqt k sath.


Waqat badalta hai zindagi k sath ,
Zindagi badalti hai Mohhabt k sath ,
Mohabbat nahi badalti apno k sath ,
Bus apne badal jatay
hain Waqt k sath.  

Aankhein Khoot Roti Hain..


Tumhain Dil $e Bhulatay Hain
Tu Aankhein Khoob Roti Hain,
Dard Dil Main Jagate Hain
Tu Aankhein Khoot Roti Hain..

Tumhare baad Chahat Ke
$abhi Punchi Uraye Jana,
Kahin Bhi Dil Lagate Hain
Tu Aankhein Khoob Roti Hain..

Teri Ta$weer, Adhoore Khat
Too Jala Diye Hum Ne,
Ab Paani Pe Naq$h Banate Hain
Tu Aankhein Khoob Roti Hain..

Ghata Aawargi Main Jab
$iyah Chola Pehanti Hai,
Parende Jab $atate Hain
Tu Aankhein Khoob Roti Hain..

Ke Jab Bhi $haam Dhalti Hai
Meri Qi$mat Ke Sab Taare,
Falaq Par Jagmagate Hain
Tu Aankhein Khoob Roti Hain..

$ard Tareek Raaton Main
$iyah $awan Ki Bari$h Main,
Dard Jab Mu$kurate Hain
Tu Aankhein Khoob Roti Hain..

$ahil Ki Who Mitti Ke Ji$ Pe
Khoon Hathoon $e,
Wafa Likh Kar Mitate Hain
Tu Aankhein Khoob Roti Hain.....  

khuwab huwa karty hien...........


Ishq Karny k bhi kuch aadaab huwa karty hien..
Jagti Aankhoon Mien Bhi Kuch Khuwaab Huwa Karty Hien..
Har Aankh Roo K dekhaye Ye zaroori to nahi..
Khushk Aankhoon mien bhi khuch khuwab huwa karty hien........... 

lekin jee bhi to nahi pata tanhai me


Khuda kisi ko kisi pe fida na kare, Kare to qayamat tak juda na kare,
Yeh mana ki koi marta nahi judai mein, lekin jee bhi to nahi pata tanhai me 

ya bewafaai likhan


Kalam pharke ohde te kuch likhan lagga, das ohda bholapan likhan ya ohdi chaturai likhan,
Dona rahaan te ake mere hath ruk gaye, das ohda pyar likhan ya ohdi judai likhan,
Hasse lut ke oh dilan de haal puucchdi, das ohdi majburi likhaan ya bewafaai likhan 

aur devdas at beer bar


Aaj didar, kal yaar, parson pyaar,
phir ekrar, phir intezar, phir takrar,
phir darar, sari mehnat bekar,
aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar.
post by Suzaan Shrestha

Woh Raaz Mujhe Kahiye


Ek Toote Huwe Dil Ki Aawaaj Mujhe Kahiye
Sur Jismein Hai Sab Ghum Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye
Main Kon Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye zindaa Hoon
Main Khud Bhi Nahi Samajhi Woh Raaz Mujhe Kahiye

No comments: